Habib Jalib
Hashr bapa hai ghar ghar mein, dum ghut'ta hai gumbad-e-bedar mein
Ik shakhs kay hathon muddat se, ruswa hai watan duniya bhar mein
Iblees numa insanon ki, aye dost sana kia likhna
Zulmat ko zia, sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna
Haq baat pe korray air zindaan, batil ke shikanje main hai ye jaan
Insaan hain ke sehme bethe hain, khoon-khwar darinde hain raqsaan
Iss zulm-o-sitam ko lutf-o-karam, iss dukh ko dawa kya likhna
Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko khuda kia likhna
Har shaam yahan shaam-e-weeran, aaseb zada raste galiyan
Jis shehr ki dhun main nikle thay, woh shehr dil-e-barbad kahan
Sehra ko chaman ban ko gulshan badal ko rida kia likhna
Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko khuda kia likhna
Aye mere watan ke fankaro, zulmat pe na apna fan waro
Ye mehl sara'on ke baasi, gatil hain sabhi apne yaro
Wirsay main hamain yeh gham hai mila, iss gham ko nayaa kia likhna
Zulmat ko zia, sarsar ko saba, banday ko khuda kia likhna